यह ब्लॉग खोजें

Amitabh Bachchan udhdaran

Amitabh Bachchan


Amitabh bachan ke bachan aur udhdikaran hindi men
Amitabh Bachan Udhdikaran
Amitabh bachan ke bachan aur udhdikaran hindi men
Amitabh Bachan Udhdikaran

Mian apni jindagi jitane sambhav ho utane swabhavik aur samany tarike se vyatit kar sakata hoon aur karata hoon, Lekin agar din raat vivad mere pichhe pade rahe to main iska kuchh nahi kar sakata, Mujhe kabhi kabhi aaschary hota hai ki we kis tarah ye sab karate hain, Mai dadi badata hoon aur wah Times of india ke sambadakiy men a jata hai. -(अमिताभ बच्चन

Sach kahoon to main kabhi icon, superstar aadi vishleshanon ke chakkar men nahi pada, Main hamesha khud ko ek abhineta ke roop men dekhata hoon jo apni kabiliyat ke anusar jitana achchha kar sakata hai kar raha hai. -(अमिताभ बच्चन)\


Yah ek rankshetr hai, Mera sharir jisane bahut kuchh saha hai. -(अमिताभ बच्चन)


Mujhe kabhi kabhi is tathy se dukh hota hai ki mere paas ek prun aur nirog sharir nahi hai. -(अमिताभ बच्चन)


Maine bophros ki vajah se raajniti nahi chhodi, Maine raajniti isliye chhodi kyonki main tuchchh raajniti khel khelana nahi janata, Main tab bhi nahi janata tha aur ab bhi nahi janata hoon. -(अमिताभ बच्चन)
Mai kabhi bhi apne kairiyar ko lekar ashwast nahi raha hoon. -(अमिताभ बच्चन)


Mai kabhi ek suparstar nahi raha aur kabhi ismen yakin nahi kiya. -(अमिताभ बच्चन)


Aisi bahut si chije hain jo mujhe lagata hai ki maine kayee jiche mis kar di hai. -(अमिताभ बच्चन)


Asal men main bas ke abhineta hoon jo apne kaam se pyar karata hai aur umr ke bare men ye sab baten kewal media men panapti hain. -(अमिताभ बच्चन)


Mujhe aiswarya ke saath romance karne men khushi hogi, Lekin main 58 saal ka hoon isliye mujhe unka pita banan hoga. -(अमिताभ बच्चन)


Mai jin chijon se gujara hoon aur jis asadharan tarike se mere sharir ne pratikriya ki wah adbhut hai, Ashchry nahi ki main dharmik ho gaya kyonki aap nahi janate ki aapke saath kuchh chije kyon ho rahi hai aur pako nahi pata ki aap kaise bounce back karte hain. -(अमिताभ बच्चन)


Har kisi ko swakar karana chahiye ki hamari umr badegi aur umr ka badana hamesha pranshshaproon nahi hota. -(अमिताभ बच्चन)


Jo thode bahut log yatharthvadi cinema banate hain jo aisa cinema banate hain jo shayad pashchimi darshko ko adhik swikary hai, we bahut kam hain. -(अमिताभ बच्चन)


14. Hamari kahaniyon ke swaroop ki wajah se bhartiy abhinetaon ko achchha abhiny aanaa jaroori hai aur unhe bhavanatmak drishyo, Thodi comedy, nachana gana, action anaa chahiye kyonkii ye sab ek hi cinema ka hissa hote hain, Mai kahonga ki kayee mayano men hollywood abhinetaon ki tulana men bhartiy abhineton se adhik apeksha hoti hai. -(अमिताभ बच्चन)


15. Main kisi taknik ka pryog nahi karta, Mai abhinay karane ke liye prashikshit nahi kiya gaya, Mai bas filmo men kaam karna pasand karata hoon. -(अमिताभ बच्चन)


कोई टिप्पणी नहीं: