यह ब्लॉग खोजें

Hindi Suvichar part-70



Preranadayak Anmol Vichar apke liye:

1. Dosto jindagi ko hamesha phoolo ki tarah jiya karo jo khushaboo bhi doosaro ko deta hai aur tootata bhi doosaro ke liye hai.

2. Jo kuchh bhi maine khoya wah meri naadani hai aur jo kuchh bhi maine paya wah rab ki meharbani hai.

3. Rishta dil men hona chahiye shabdo men nahi aur naarajagi shabdo men honi chahiye dil men nahi.

4. Do tarah se chije dekhane men chhoti najar aati hai. Ek door se aur Ek agroor se…

5. Duniya ki sabse durlabh jodi hoti hai. Khushi aur aansoo ki dono ek saath milna muskil hai, Lekin jab dono saath hote hain to wah pal sabse khoobsoorar hota hai.

6. Jab res men ghoda daudata ai tab use ya nahi malum rahata hai ki jit kya hoti hai, Wah to bas apne malik ke chabuk ki takliph sahata hai aur daudata rahata hai, Jab aap takliph men ho to yah manana ki ishwar apko jitana chahata hai.

Sahi kaam ho bedhadak par galat kaam ho dhadak-dhadak.

Kisi bhi manushy ki vartmaan sthiti dekhakar uske bhavishy ka upahas mat udao kyooki kaal men itani shakti hai ki wo ek sadharan se koyale ko bhi dhire-dhire hire men badal deta hai.

Yadi aap bahut adhik logon par nirbhar rahate hai to apke niraash hone ke awasar bhi jyada hote hai.

Suvichar4u-More Pages
61  62   63   64   65   66   67   68   69   70  Next

कोई टिप्पणी नहीं: