यह ब्लॉग खोजें

Hindi suvichar part-59

Maa ne banaya, pita ne pahachana. Maa ne shabd diye, pita ne arth. Maa ne vichar diye, Pita ne  swatantrata. Maa ne bhakti di, Pita ne vriti. Maa ne shakti di, Pita ne niti. Isi prishram ke bal par, Aaj meri pahachan ahi.

Sabhi par vishwas karana khataranak hai, kisi par bhi vishwas na karana ussase adhik  khataranak hai, khud par to awashya vishwas kare.
Lagatar ho rahi asafalataon se nirash nahi hona chahiye.. kabhi kabhi guchchhe ki aakhari chabi tala khol deti hai.

Hamare achchhe Vichar:


1. Hamare vachan chahe kitne bhi shresht kyon n ho, duniya hame hamare karmo ke dwara pahchanti hai.

2. Yadi aap mritu se bhayabhit hote hain to iska arth yah hi ki aap jiwan ka mahtw hai nahi samajhate.

3. Aap apne Adhikaron ke prati hi jagrook n rahe apitu is baat ka bhi dhyan rakhe ki aap sahi marg par hain ya nahi.

4. Adhik sansarik gyan arjit karane se aapmen ahankar aa sakata hai, Lekin adhyayatmik gyan jitana adhik arjit karte hain utani narmata aati hai.

5.Aap kisi samasy ke bare men kitani bhi chinta karen, Lekin kya apka chintat man us samsya ka samadhan kar sakata hai.

Suvichar4u-More Pages
51  52   53   54   55   56   57   58   59   60  Next

कोई टिप्पणी नहीं: