Love in Hindi लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Love in Hindi लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

11 जुल॰ 2014

For Social media post-4- Love Sayari and Sms

(1.) Laila Ko Majnu Ka Sms Nahi Aaya,
Laila Ne Tin Din Tak Khana Nhi Khya,
Laila Mar Rahi Thi Majnu K Pyar Me,
Aur Majnu Baita Tha Sms Free Hone K Intejar Me.

Laila Ko Majnu Ka Sms Nahi Aaya

(2.) Bewajah Kisi Ko Sataya Nhi Karte,
Had Se Jyada Kisi Ko Tadpaya Nhi Karte,
Jinki Saanse Chalti Ho Apke Lafjo Se,
Unhe Apni Aawaj Sunane Ko Rulaya Nhi Karte.

Bewajah Kisi Ko Sataya Nhi Karte

(3.) Dakti Raat Ko Apka Ehsaas H,
Is Dil Me Apki Jagah Kuch Khas H,
Aap Saath Nhi Ho Phir V Ye,
Dil Kahta H Ki Ek Pyara Sa Dost Aas Paas H.

Dakti Raat Ko Apka Ehsaas H

(4.) Ye Judai V Aapki Ek Ada H,
Dur H Aap Se Ye Hamari Saja H,
Dil Me Basi H Tasvir Aapki,
Phir Kaise Kahe Ki Aap Hamse Dur  Hai.

Ye Judai V Aapki Ek Ada H

(5.) Banke Aanshu Meri Dhadkan K Paas Rahte Ho,
Tasvir Banke Meri Aankho K Paas Rahte Ho,
Aaj Pucchana H Ek Sawal Aapse,
Dur Hoke Kya Aap V Udas Rahte Ho.

Banke Aanshu Meri Dhadkan K Paas Rahte Ho

(6.) Nadiyo Se Kinare Chut Jate Hai,
Aasman Se Sitare Tut  Jate H,
Zindgi K Raho Me Aksar Aisa Hota H,
Jinhe Ham Chahte H Wahi Ham Se Ruth Jata H.

(7.) Us Paar Hi Sahi Kinara To H,
Timtimata Hi Sahi Sitara To H,
Ho Jati H Apki Yaad Se Tassali,
Dur Hi Sahi Koi Hamara To H.

(8.) Ruth Kar Usko Manaya Na Gaya,
Khud V Roye Aur Usko Chupaya Na Gaya,
Hui Thi Ki Ab Rah Lenge bin Uske,
Phir V  Dil Kahi Aur Lagaya Na Gaya.

9 जुल॰ 2014

For Social media post-2- Love Sayari and Sms


Dosti Me Judai Ka Gam Na Karna,
Dur Raho To bhi Dosti Kam Na Karna,
Agar Mile Zindgi Me Kisi Mod Par,
To Hame Dekhakar Aankhe Band Na Karna.

Dosti Ke Bina Zinadgi Fizul Hai,
Par Dosti Ke bhi Apne Usul Hai,
Kahate Hai Milte Hai Dosti Me bhi Taklif,
Par Aap Jaise Dost Ho To Sab Kabool Hai.

Ankhein Khuli To Chehara Tumhara Ho,
Aankhein Band Karu To Sapna Tumhara Ho,
Mujhe Maut Ka Dar Na Hoga,
Agar Kafan Ki Jagah Duppata Tumhara Ho.

Ek Dil Mere Dil Ko Jakham De Gaya,
Zindgi Bhar Na Mitane Wali Nishani De Gaya,
Lakh Phoolo Me Ek Phool Chuwa Tha Maine,
Jo Kanto Se bhi Gahara Jakham De Gaya.

In Aankho Se Sapne Churaya Na Karo,
Hamari Dosti Ko Tum Ajmaya Na Karo,
Tumhare Ek Sms K Badle sau Call Kar Du,
Bas Tum Mera Phone Uthaya Na Karo.

Old friend are gold,
New friend are diamond,
If u get diamond don’t forget the gold
Because to hold a diamond u need a base of gold.

Will u smile if i ask u to smile,
will u come if i ask u to come,
Will u understand if i am unable to explain,
Will u add “too”if i say.

Sochate Hai Ek Gulab Bhej De ,
Chahte H Ek Dua Bhej De ,
Ja Rahe Ho Agar Aap Sone Ko,
To Dil Kahta H Apki Palko Me,
Ek Pyara Sa Khwab Bhej De.

2 मई 2013

Aansoo Men na doondana hamen-Poem

Love Quotes and Poem

Aasoo men na doondana hamen  Dil men ham bas jayenge.
Aasoo men na doondana hamen
Dil men ham bas jayenge
Tamana ho agar milane ki
To band aankhon men najar ayenge.

Lamha lamha waqt gujar gayega
Chand lmho men daman chhot jayega
Aaj waqt hai do bate kar lo hamse,
Kal kya pata kaun aapke jindgi men aa jayega.

Paas aakar sabhi door chale jate hain,
Ham akele the akele hi rah jate hai.
Dil ka dard kise dikhaye,
Maraham lagane wale hi jakhm de jate hai.

Waqt to hame bhula chukka hai,
Mukadar bhi nab hula de,
Dosti dil se ham isliye nahi karte,
Kyoo ke darte hai koee phir se na roola de.

Jindagi men hamesha naye log milenge,
Kahin jyada to kahi kam milenge,
Aitabar jara soch kar karana,
Mumkin nahi har jagah tumhe ham milene.

Khusboo ki tarah apke paas bikhr jayenge, sukun banker dil men utar jayenge.
Mahasoos karane ki koshish to kijiye,
Door hote huye bhi paas najar ayenge.

28 अप्रैल 2013

Har Pal Men Khush Raho | aaj ke suvichar hindi

Love Poem in Hindi

अनमोल वचन

Pyar Bhara Suvichar in Hindi

Ye Di Bhi Dhadakata Hai Aur Meri Sanse Bhi Chalti Hai,
Bas Ye Dil Tujhe De Baitha Hoon,
Is Dil Men Ajeeb Si Kasamkas hai,
Jinda To hoon Par Ye Jaan Tujhe De Baitha haoon. 

anmol ambani love suvichar



Too Meri Jindagi Hai,
Too Hi Mera Khwab Hai,
Too Hi Meri Sadgi hai,
Too Hi Mera Mushkan,
Ji Chahata Hai Bas Yahi Kahata Rahi,
Too Hi Meri Mannt Too Hi Kahata Rahoon

aaj ke suvichar hindi

Jindagi Hai Chhoti,
Har Pal Men Khush Raho,
Office Men Khush Raho,
Ghar Men Khush Raho.


Aaj Panir Nahi Hai,
Daal Men Hi Khush Raho,
Aaj Jim Jane Ka Samay Nahi,
Do Kadam Chalk E He Khush Raho.

Aaj Dosto Ka Sath Nahi,
T.v. Dekh ke hi khush raho,
Ghar Ja Nahi Sakte,
To Phon Kar Ke Hi Khush Raho.

Aaj Koee Naraj Hai,
Uske Is Andaj Men Bhi Khush Raho,
Jisse Dekh Nahi Sakte,
Uski Aawaj Men Hi Khush Raho.

Jisse Paa Nahi Sakte,
Uske Yaad Men Hi Khu Raho.
Laptop N Mila To Kya,
Desktop Men Hi Khu Raho…

Bita Hua Kal Ja Chooka Hai,
Uski Miti Yadon Men Hi Khush Raho…
Aane Wale Pal Ka Pata Nahi,
Sapno Men Hi Khu Raho…

Haste Haste Ye Pal Bitenge,
Aaj Men He Khush Raho…
Jindagi Hai Chhoti
Har Pal Khush Raho…

24 अप्रैल 2013

2Day Love Quotes-14



Hushi Hai Toh Sath Gam Bhi Hote Hain
Gam Toh Zindagi Mein Har Dam Hote Hain
Dosto Ke Jo Dard Baant Le..
Aese Dost Zindagi Mein Bohat Kam Hote Hain!


Khwab dekhne ki jb aadat ho jati h,
haqiqat berang nazar aati h. ..
koi jeene ke liye intezar karta hai
aur kisi ki zindagi intezar me beet jati hai. .


Hasrat hai sirf tumhe pane ki,
aur koi khawahish nahi is Dewane ki,
shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai,
kya zarurat thi tumhe itna khuubsurat banane ki..


Woh Bewafaa Nhi Mujhe Pata Hai.......
Uski Raah Dekhna Ye Meri Adaa
Hai.......
Woh Aaye Na Aaye ye Uski Wafaa
Hai.......
Bus Tadapte Rehna Ye Meri Sazaa
Hai....
.

Mar Kar Tamanna Jeene Ji Kishe Nhi Hoti,
Ro Ke Khush Hone Ki Tamanna Kishe Nhi Hoti,
Keh Toh Diya K Jee Le Ge Apno Ke Bagair,
Par Apno Ki Tamanna Kise Nahi Hoti!

21 अप्रैल 2013

2Day Love Quotes-12

2Day Love Quotes
LOVE IS YOU AND ROSE IS MY HEART
Tarsi hain ye nigahen didar ko aapke,
ye dil to dhadakta hai sirf pyar mein aapke,
hum agar jite hain sirf sahare dosti ke aapke,
hum har pal ye kehte hain ki hum to sirf nachij se dost hai aapke,
varna hamara to kya wajud tha jo apne dil mein basaya hai aapne……….

MERA HAATH NA CHHOOTE TERE HAATH SE
आँखें खुली हों तौ चेहरा तुम्हारा हो,
आँखें बूँद हों तौ सपना तुम्हारा हो,
मुझे मौत का डर ना होगा अगेर,
कफ़न की जगह दुपट्टा तुम्हारा हो

EK TUMHAREI MUSKAN KI JAROORAT HAI

Na Chaaho Itna Hame, Chahaton Se Dar Lagta Hai,
Na Aao Itna Kareeb, Judai Se Dar Lagta Hai,
Tumhari Wafaon Pe Bharosa Hai,
Magar Apne Naseeb Se Dar Lagta Hai.


GOOD LOVE IS YOUR HEART
लगता हैं कोई हमसे खपा हैं,
पर यकिन हैं उसकी हर साँस में वफ़ा हैं,
नहीं हैं उस जैसा कोई दुनियाँ में,
तभी तो उस पर ये जान फिदा हैं 
LOVE AND ROSE COMBINATION

2Day Love Quotes-11

Today Love Quotes

love is your
PYAR KA ANJAM KAUN SOCHTA HAI,
CHAHNE SE PAHLE NIYAT KAUN DEKHTA HAI.
MOHABBAT HAI EK ANDHA EHSAS,
KARTE HAIN SAB PAR MUKAM KAUN JANTA HAI….
mera saarth tumare sath hai


MERE RAB NE YE KARAM ANOKHA RAKHA,
DI SARI KHUSHI PAR TANHA RAKHA.
TOOT JATA HAI HAR KHWAB PURA HOKAR,
ISLIYE MAINE EK KHWAB ADHURA RAKHA.

Ye heart apke liye hai


HUM APNE AAP PER GURUR NAHI KARTE,
KISI KO KUCH BHI KARNE PER MAJBOOR NAHI KARTE,
MAGAR JISNE EK BAR APNA KAH DIYA HAME,
MARTE DUM TK USE DIL SE DOOR NAHI KRTE.

Aisa dil aur kaha


AAP HUME RULADO HUME GAM NAHI,
AAP HUME BHULADO HUME KOI GAM NAHI,
JIS DIN HUMNE AAP KO BHULA DIYA,
SMAJ LENA IS DUNIYA ME HUM NAHI.
Aaja chhoo le is pyar ki gaharayee ko

यह ब्लॉग खोजें