Great Indian Quotes in HIndi लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Great Indian Quotes in HIndi लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

1 जून 2013

Mahan Vyaktiyon ke suvichar in Hindi:

 Mahan Vyaktiyon ke suvichar


1. Neki se vimukh ho jana aur badi karma nisandeh bura hai, Magar samane hans kar bolana aur pichchhe chugalkhori karma usse bhi bura hai. – Sant Tiruvalluvar 

2. Kavi aur chitrkar men bhed hai. Kavi apne swar men aur chitrkar apni rekha men jiwan ke tatw aur saundary ka rang bharata hai. – Dr. Ramkumar Verma 

3. Talvar hi sab kuchh hai, Uske bina n manushy apni raksha kar sakata hai aur n nirbal ki. – Guru Govind Singh

4. Manushy krodh ko prem se aur paap ko sadacha se  tatha lobh ko daan se aur jhooth ko saty se jit sakata hai. – Gautam Buddha 

5. Swatantra hamar janm sidhd adhikar ahai. – Lokmany Tilak


31 मई 2013

Mahan Vyaktiyon ke Anmol Vachan in Hindi

Mahan Vyaktiyon ke Anmol Vachan in Hindi


1. Jaise andhe ke liye jagat andhakarmay hai aur aankhon wale ke liye prakashmay hai waise hi agyani ke liye jagat dukhmay hai aur gyani ke liye aananadmay. - Samproonanad
 
2. Narmata aur mithe vachan hi manushy ke abhushan hote hain. Shesh sab naammatr ke bhooshan hain.-Sant Tituvallur


3. Wahi unnti karta hai jo sway apne ko updesh deta hai. – Swami Raamtirth

4. Apne vishay men kuchh kahana pray: bahut kathin ho jata hai kyonki apne dosh dekhana apko apriy lagata hai aur unko andekha karma auro ko. -Mahadevi Varma


5. Karoona men shital agni hoti hai jo kroor se kroor vyakti ka hriday bhi aadr kar deti hai.- Sudarshan


6. Hatash n hona hi saphalata ka mool hai aur yahi param such hai. -Valmiki


7. Mitro ka uphas karana unke paawan ko khandit krana hai. -Raam pratap tripathi


Anmol vachan in English to Hindi

यह ब्लॉग खोजें