यह ब्लॉग खोजें

Vedhvyaas Ke Suvichar

वेदव्यास के कथन (सुविचार)



Vedhvyaas Ke Suvichar
1. Jo Parusharth Nahi Karte Unhe Dhan, Mitr, Aishvary, Such, Swasthy, Shanty Aur Santosh Prapt Nahi Hote.

2. Niyam Ke Bina Aur Abhimaan Ke Saath Kiya Gaya Tap Vyarth Hi Hota Hai.

3. Dukh Ko Door Karne Ki Ek Hi Amogh Aushdhi Hai- Man Se Dukhon Ki Chinta Na Karna.

4. Saty Se Soorya Tapata Hai, Saty Se Aag Jalati Hai, Saty Se Vayu Bahati Hai Sab Kuchh Saty Men Hi Pratishthit Hai.

5. Bair Ke Karan Utapann Hone Wali Aag Ek Paksh Ko Swaha Kiye Bina Kabhi Shant Nahi Hoti.

6. Jaise Jal Dwara Agni Ko Shant Kiya Jata Hai Waise Hi Gyan Ke Dwara Man Ko Shant Rakhana Chahiye.

7. Jaise Soorya Aakash Men Chhup Kar Nahi Vichar Sakta Usi Prakar Mahapurush Bhi Sansar Men Gupt Nahi Rah Sakte.

8. Saty bolana shreshth hai lekin saty kya hai, yahi jaanana kathin hai. Jo pranimatra ke liye atyant hitkar ho, mai isee ko saty kahata hoon.

9. Manushy Ki Ichchhaon Ka Pet Aaj Tak Koi Nahi Bhar Saka Hai.

10. Ishvar Se Prathana Karo, Par Apni Patvar Chalate Raho.

11. Jo Pranimatra Ke Liye Atyant Hitkar Ho, Main Isee Ko Saty Karta Hoon.

12. Kshama Asamarth Maanvi Ka Lakshan Aur Asamarthon Ka Abhooshan Hai.

Shop Online   Bed linen    |    Bed Sheets    |    Bath Towels

Jaishankar Prasad Ke Anmol Vachan

जयशंकर प्रसाद  के अनमोल वचन



Pashan Ke Bhitar Bhi Madhur Strot Hote Hain, Usmen Madira Nahi Shital Jal Ki Dhara Bahati Hai.

1. Pashan Ke Bhitar Bhi Madhur Strot Hote Hain, Usmen Madira Nahi Shital Jal Ki Dhara Bahati Hai.

2. Purush Hai Kutoohal Va Prashan Aur Stri Hai Vishleshan, Uttar Aur Sab Baton Ka Samadhan.

3. Nari Ki Karoona Antarjagat Ka Uchchatam Vikas Hai, Jiske Bal Par Samast Sadachar Thahare Huye Hai.

4. Sansar bhar ke updravon ka mool vyangy hai. Hriday men jitana yah ghusta hai utani katar nahi.

5. Adhik Harsh Aur Adhik Unnati Ke Baad Hi Adhik Dukh Aur Patan Ki Bari Aati Hai. 

6. Manushy Apni Durbalata Se Bhali Bhanti Parichit Rahata Hai, Par Use Apne Bal Se Bhi Avagat Hona Chahiye. 

7. Daridrata Sab Paapon Ki Janani Hai, Tatha Lobh Uski Sabse Badi Santaan Hai.

8. Manushyata Eke K Paksh Wah Bhi Hai, Janha Varn, Dharm Aur Desh Ko Bhoolkar Manushy, Manushy Ke Liye Pyar Karta Hai.


Shop Online   Bed linen    |    Bed Sheets    |    Bath Towels

Bharat Ke Mahan Vyaktiyon Ke Anmol Vachan

भारत के महान व्यक्तियों के अनमोल वचन


रामधारी सिंह दिनकर के अनमोल वचन

Kavita Gaakar Rijhane Ke Liye Nahi Samajh Kar Kho Jane Ke Liye Hai
1. Kavita Gaakar Rijhane Ke Liye Nahi Samajh Kar Kho Jane Ke Liye Hai.

2. Kavita Wah Surang Hai Jismen Se Gujar Kar Manushy Ek Vishv Ko Chhodkar Doosare Vishv Men Pravesh Karta Hai.

3. Dushto Ka Bal Hinsa Hai, Shasko Ka Bal Shakti Hai, Striyon Ka Bal Seva Hai Aur Gunvano Ka Bal Kshama Hai.

रामकृष्ण परमहंस के सुविचार

Jisparakar Maile Darpan Men Sooraj Ka Pratibimb Nahi Padata
1. Jisparakar Maile Darpan Men Sooraj Ka Pratibimb Nahi Padata Usi Prakar Malin Antkaran Men Ishvar Ke Prakash Ka Pratibimb Nahi Pad Sakta. 

2. Naav Jal Men Rahe Lekin Jal Naav Men Nahi Rahana Chahiye, Isi Prakar Saadhak Jag Men Rahe Lekin Jag Saadhak Ke Man Men Nahi Rahana Chahiye.

सुभाष चंद्र बोस के विचार

Jiwan Men Koi Chij Itani Haanikarak Aur Khatarnak Nahi Jitna Davadol Sthiti Men Rahana.

1. Jiwan Men Koi Chij Itani Haanikarak Aur Khatarnak Nahi Jitna Davadol Sthiti Men Rahana. 

2. Bina Josh Ke Aaj Tak Koi Bhi Mahan Kaary Nahi Hua. 

3. Tum Mujhe Khoon Do, Main Tumhe Aajadi Doonga. 

4. Jis Vyakti Ke Hridy Men Sangit Ka Spandan Nahi Hai Wah Vyakti Karm Aur Chintan Dwara Kabhi Mahan Nahi Ban Sakta.

Shop Online   Bed linen    |    Bed Sheets    |    Bath Towels

Munshi Premchand Ke Anmol Vachan

सुविचार : Kul Ki Pratishtha Bhi Vinmrata Aur Sadavyavahar Se Hoti Hai, Haikadi Aur Rooaab Dikhane Se Nahi


मुंशी प्रेमचंद के अनमोल वचन (सुविचार)


1. Kul Ki Pratishtha Bhi Vinmrata Aur Sadavyavahar Se Hoti Hai, Haikadi Aur Rooaab Dikhane Se Nahi. -


2. Man Ek Bhiroo Shatru Hai Jo Sadaiv Pith Ke Pichhe Se Vaar Karta Hai.

3. Chaaploosi Ka Jaharila Pyala Aapko Tab Tak Nuksaan Nahi Pahucha Sakta Jab Tak Ki Aapke Kaan Use Amrit Samjh Kar Pi Na Jayen. 

4. Mahan Vyakti Mahatvakanksha Ke Prem Se Bahut Adhik Aakarshit Hote Hain.

5. Jis Saahity Se Hamari Suruchi Na Jage, Aadhyatmik Aur Maansik Tripti Na Mile, Hamme Gati Aur Shakti Na Paida Ho, Hamara Saundrya Prem N Jagrit Ho, Jo Hammen Sankalp Aur Kathinaiyon Par Vijay Prapt Karne Ki.


6. Sachch Dreedhta Na Utapann Kare, Wah Hamare Liye Bekar Hai, Wah Saahity Kahalane Ka Adhikari Nahi Hai.

7. Aakash Men Udane Wale Panchhi Ko Bhi Apne Ghar Ki Yaad Aati Hai. 

8. Jis Prakar Netrahin Ke Liye Darpan Bekar Hai Usi Prakar Budhdhihin Ke Liye Vidya Bekar Hai. 

9. Nayay Aur Niti Lakshmi Ke Kilhaune Hain, Wah Jaise Chahati Hai Nachati Hai.

10. Yuvavastha Aaveshmay Hoti Hai, Wah Krodh Se Aag Ho Jaati Hai To Karoona Se Paani Bhi.

11. Apani Bhool Apne Hi Haathon Se Sudhar Jaye To Ya Usase Kahi Achchha Hai Ki Koee Doosara Use Sudhare.

12. Desh Ka Udhdar Vilasiyon Dwara Nahi Ho Sakta. Uske Liye Sachcha Tyagi Hona Aavashyak Hai. 

13. Masik Vetan Pooranmasi Ka Chand Hai Jo Ek Din Dikhayee Deta Hai Aur Ghatate Loopt Ho Jata Hai.

14. Krodh Men Manushy Apne Man Ki Baat Nahi Kahata, Wah Kewal Doosaron Ka Dil Dukhana Chahata Hai. 

15. Anuraag, Yauvan, Roop Ya Dhan Se Utpann Nahi Hota. Anuraag, Anuraag Se Utpann Hota Hai. 

16. Dukhiyaron Ko Hamadardi Ke Aansoo Bhi Kam Pyare Nahi Hote.

17. Vijayee Vyakti Swabhav Se, Bahimurkhi Hota Hai. Prajay Vyakti Ko Antmurkhi Banati Hai.

18. Ateet Chahe Jaisa Ho, Uski Smritiyan Pray: Sukhad Hoti Hai.

19. Dukhiyaron Ko Hamardardi Ke Aansoo Bhi Kam Pyare Nahi Hote.

20. Main ek majdoor hoon. Jis din kuchh likh na loon us din mujhe roti khane ka koi hak nahi.

21. Nirasha Sambhav Ko Asambhav Bana Deti Hai.

22. Bal Ki Shikayate Sab Sunte Hain, Nirbal Ki Phariyaad Koi Nahi Suntan.

23. Daulat Se Aadami Ko Jo Samman Milta Hai, Wah Uska Nahi, Uski Daulat Ka Samman Hai. -

24. Sansaar Ke Sare Naate Sneh Ken Ate Hain, Janha Sneh Nahi Waha Kuchh Nahi Hai.

25. Jis Bande Ko Pet Bhar Roti Nahi Milti, Uske Liye Maryada Aur Ijjat Dhong Hai.

26. Khane Aur Sone Ka Naam Jiwan Nahi Hai, Jiwan Naam Hai, Aage Badhae Rahane Ki Lagan Ka.

27. Jiwan Ki Durghatnaon Men Aksar Bade Mahatv Ke Naitik Pahaloo Chhipe Hue Hote Hain.

28. Namaskar Karane Wala Vyakti Vinmarta Ko Graham Karta Hai Aur Samaj Men Sabhi Ke Prem Ka Patra Ban Jaata Hai.

29. Achchhe Kaamon Ki Sidhdhi Men Badi Der Lagati Hai, Par Bure Kaamon Ki Sidhdi Men Yah Baat Nahi.



Shop Online   Bed linen    |    Bed Sheets    |    Bath Towels