यह ब्लॉग खोजें

Hindi Suvichar part-68


Pavitr Vichar apke liye:

1. Jiwan men ke bar jo phaisala kar liya to phir pichhe mudakar mat dekho kyonki palat palat kar dekhane wale itahas nahi banate. -Chandr gupt maurya

2. Na kisi ke abhav me jiyo,
Na kisi ke prabhav men jiyo,
Yah jindagi hai apaki apne swabhav se jiyo.

3. Kya bananae aaye the kya bana baithe, Kahin mandir bana baithe kahi masjid bana baithe.
Hamse to jaat achchhi hai parindo ki, Kabhi mandir par jaa bathe to kabhi masjid par jaa baithe.

4. Saty se kamaya dhan,
Har prakar se sukh deta hai.
Chhal w kapat se kamaya dhan,
Dukh hi dukh deta hai.

5. Apni jindagi ko ek naya khwab do,
Chahe pura na ho par aawaj to do,
Ek din poore ho jayenge sare khwab tumhare.
Sirf socho nahi ek shuraat to do.

Jo hua wah achchha hua to ho raha hai, wah achchha ho raha hai . Jo hoga, wah achcha hoga. Tumhara kya gaya, jo tum rote ho?  Tumne kya paida kiya, jo nasht ho gaya? Tumane jo liya, Yahi se liya, Jo diya yahi se diya; jo aaj tumhara hai, kal kisi aur ka  tha, kal kisi aur ka hoga.
Log kahate hai ki pyar ek aisee bimari hai jisaki koee dava nahi hot. Ham kahate hai ki dhokha ek aisee dawa hai jo ek baar kha le use ye beemari dobara nahi hoti.
Sach hi kaha hai kisi ne ki samay ke saath har koee badal jata hai, galati uski nahi jo badalata hai, galati uski hai jo pahale jaisa rah jata hai.
Suvichar4u-More Pages
61  62   63   64   65   66   67   68   69   70  Next

कोई टिप्पणी नहीं: