यह ब्लॉग खोजें

Hindi suvichar part-57

Thikana karb hai kuchh to ibaadat kar musafir kahate hain khali hath kisi ke ghar jaya nahi karte.
Yadi koee vyakti apko gussa dilane men safal rahata hai to samajh lijiye aap uske hath ki kathputali hain.
Murkh chup rah kar budhdiman kahala sakata hai, magar budhdimaan chup rah kar murkh hi kahalayega.
Sharifon ki garibi men bhi ijjat kam nahi hoti, karo sone ke tukamen sau to bhi kimat kam nahi hoti.


Jiwan par Adharit suvichar for you:



1. Samay mahan chikitsak hai.
Samay kisi ki pratiksha nahi karata.
Har diin varsh ka sarvotam din hai.

2. Ek jhooth chhipane ke liye das jhooth bolane padate hai.
Prakriti ke sab kaam dhire dhikre hote hain.
Bina guru ke gyan nahi hota.

3. Aapki budhdi hi aapka guru hai.
Jigyasa ke bina gyan nahi hota.
Bina anubhav ke kora shabdik gyan andha hai.
Alp gyaan khatarnaak hota hai.

4. Karm saral hai, vichar kathin.
Updesh dena saral, Upaay batana kathin.
Dhan apna paraya nahi dekhata.
Jaisa ann, Waisa man. 

5. Ahinsa sarvottam dharm hai.
Bahumat ki awaaj nyaay ka dhotak nahi hai.
Anyay men sahyog dena, anyaay ke hi samaan hai.
Vishwas se ashchary janak protsahan milata hai.

Suvichar4u-More Pages
51  52   53   54   55   56   57   58   59   60  Next

कोई टिप्पणी नहीं: